AMNA BILAL

Amna Bilal

Amna Bilal is the creator of Furqan Studio, a group established with the intention of spreading the wisdom of the Quran.

Batch 8 Student of the Quran and Self-Development Course, sharing an inspiring story.

 

Meri kahani Pakistan ki ek esi aam larki ki kahani hay jo bazahir tou Musalmaan gharanay may paida hoti hay magar uska taaruff Islam say ho nahe pata. Jahan Maa baap may say ek peeri faqeeri per yaqeen rakhta ho tou doosra siray say La ilm ho khudha or kisi aqeede k baray may. Haan Islam as a religion tou tha khaandaan may jese eid wagher magar Islam as a deen say door door tuk hamara koi talluq na tha.

tou phir kya hota hay esi larki k sath k jis k shaoor may deen or khuda hi na ho? or jise taraqi ki aar may bepanah azaadi milti hay? tou esi larki k sath hota yeh hay k wo apni rooh or nafs ki jang bohot early days may start krdeti hay, mere sath bhi yeh huwa k nafs ko khush krne ki dor may itnaaa agaay nikal gaae k maloom hi nahe huwa k rooh kis qadar zakhmi hogaai hay…

or duniya insan ko deti hi kya hay??? tou may nay bhi zindaghi ki rangeeniyo kaaa khoob maza chakhaa, insan or janwar may jo farq hota hay usko mitte dekha, or sahi or ghalat k paimaaanoo say kaheen bohot door nikal aagai… log mile jinho nay mazeed zindaghi say bharosa uthwaya or khuch ese log bhi mile jinhe huq k raastay per chaltaa dekh ker rooh ki shama roshan huwiii….

ek larki k paas uski aabroo k ilawa khuch nahe hotaa or agar use khudh ko bachanay k liye apne ird gird k mahol say itni jang krni pre k uska nafs bhi jawab dejaae, tou phir bhi usk paas ek ZAAT HAMESHA Rehti hay or wo zaat hay Allah ki zaat…

tou bus ek din sub khuch jub haath say nikal gaya or zindaghi ki ayashiyaa ab qaid lagni lagii tou us larki ki nazar ek Kitaaab per gaai, or usnay usko parhna shru kiyaa… or do din may us nay wo saari kitaab parhiii or uski zaaat ko maloom hogaya k koi or zaat bhi hay jo uska Creator hay and wahan say wo Musliman banti hay…

Haan usk baad bhi jang jaari rahi k ab us daldal say kese nikla jaae, Islam per kese chala jaae k log uska ab mazak urate the k so chohay khaa ker billi hajj ko chaliii… magar ab chunke us per haqeeqat khul chuki thi tou ab wapasi mushkil thi… bus phir Allah nay karam kiyaa, or ek mushkil safar k baad Allah nay izzat bakhshi or is safar may Ma’am Amna jese ustaad beshuk Allah k banday hen jinho nay mazeed rehnumaaai farmaaiii….

ek baat jo hamesha meri zaat k ander rahi chahay may jitne gunaho may bhi dubii thi or wo yeh k mere ander awaaz thi jo mjhe batati thi k yeh ghalat hay yaa jo mjhe un gunahoo ki lazzat nahe lene deti thi…. wo awaaz Allah ki meherbaani hay hum per or hamay usko zaroor sunna chahye…

aj may koshish krti hoon k adhi zindaghi itne gunaho may guzar gaai tou abhi ki zindaghi Allah k ehkaamat ko bharpoor tareeqe say poora krne ki koshish kroon, jismay sub say barh ker mera pardah krnaa hay, yeh ek bohot mushkil cheez hay aaj k dor may magar agar aap apni capacity may khuch bhi krsakte hen Allah k ehkaam ko poor krne k liye tou zaroor kren…

meri misaal aapk samnay he k kese may nay Allah ko dhoonda, apna rasta badla, apnay aap ko hur haram cheez say door kiyaa… or kese may hur lamhay Allah k qareeb hona chahti hoon… tou shayad aap ek mehfooz mahol may hoon tou is lamhay ka bharboor faida uthaae, or Allah say jurhen…
Naik duaao ki talabgaar… 🤍

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Quran & Self

development

Course